Mah jabinon ki adaon se ulajh baitha huun
Is ka matlab hai balaon se ulajh baitha
huun
Bab-e-tasir se nakam palat aai hai
Is liye apni duaon se ulajh baitha huun
Teri dahliz pe jhukne ka saval aaya tha
Main zamane ki anaon se ulajh baitha huun
Jo musafir ke liye bais-e-taskin nahin
Aise ashjar ki chhanv se ulajh baitha huun
Jo ġharibon ka diya phūnk ke tham jaati
hai
Aisi kam-zarf havaon se ulajh baitha huun
Ab tiri god ke palon men bhi ehsas nahin
Bas yahi soch ke gaanv se ulajh baitha
huun
Arsh vaale miri tauqir salamat rakhna
Farsh ke saare ḳhudaon se ulajh baitha
huun
Apne qatil se ulajhne ka irada kar ke
Log kahte hain ḳhalaon se ulajh baitha
huun
Ek kam-zarf ki be-rabt jafa ki ḳhatir
Shahr-valon ki vafaon se ulajh baitha huun
Teri dastar se 'kazim' main ulajh na
paata
Bas yahi soch ke paanv se ulajh baitha
huun
KAZIM HUSAIN KAZIM